Ab Ise Kya Kare Koi Aankhon Mein Raushni Nahin

ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin

shahr bhi ajnabi nahin log bhi ajnabi nahin

hum ne ye soch kar kabhi jurat-e-arz ki nahin

shikwa ba-sad-KHulus bhi shewa-e-dosti nahin

yun to baDe KHulus se log hue hain ham-safar

rah mein sath chhoD den un se baid bhi nahin

pursish-e-haal ke siwa koi kare bhi kya magar

pursish-e-haal dosto tanz hai dosti nahin

bite hue KHushi ke din bhuli hui kahaniyan

aap ko yaad hon to hon hum ko to yaad bhi nahin

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ise Kya Kare Koi Aankhon Mein Raushni Nahin In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Ab Ise Kya Kare Koi Aankhon Mein Raushni Nahin is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Ab Ise Kya Kare Koi Aankhon Mein Raushni Nahin for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Ab Ise Kya Kare Koi Aankhon Mein Raushni Nahin in PDF.