Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gae Hain

jis anjuman mein dekho begane rah gae hain

ginti ke log jaane pahchane rah gae hain

kal jin haqiqaton se mahaul mo'atabar tha

aaj un haqiqaton ke afsane rah gae hain

ab ghaarat-e-chaman mein kya rah gaya hai baqi

kuchh pairahan-darida diwane rah gae hain

tariKH-e-ahd-e-rafta bil-iKHtisar ye hai

gulshan jahan jahan the virane rah gae hain

'iqbaal' DhunDhte ho tum jin ko mahfilon mein

un ki jagah ab un ke afsane rah gae hain

(2259) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gae Hain In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gae Hain is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gae Hain for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gae Hain in PDF.