Wo Aa Rahe Hain Wo Ja Rahe Hain Mere Tasawwur Pe Chha Rahe Hain

wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain

kabhi hain dil mein kabhi jigar mein kabhi nazar mein sama rahe hain

junun-nawazi hai meri fitrat isi se hasil hai mujh ko rahat

jo mujh se hosh-o-KHirad ne chhina junun ke sadqe wo pa rahe hain

jigar ko rokun ya dil ko thamun ilahi kis kis ko main sambhaalun

mere tasawwur ki anjuman mein wo aaj ban-Than ke aa rahe hain

lagai dil mein kuchh aisi tu ne ye aatish-e-sozish-e-mohabbat

bhaDak rahi hai ye utna paiham hum us ko jitna bujha rahe hain

ye rah-e-ulfat ki Thokaren hain inhen na manzil samajh ke Thahro

qadam baDhao wo qafila hai tumhaare sathi bula rahe hain

hain rahrawan-e-rah-e-mohabbat nirali rasmen nirali fitrat

jahan luTa karwan-e-ulfat wahin pe manzil bana rahe hain

na hum ko sher-o-suKHan se matlab na ishrat-e-anjuman se matlab

kisi ko 'iqbaal' dastan-e-gham-e-mohabbat suna rahe hain

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aa Rahe Hain Wo Ja Rahe Hain Mere Tasawwur Pe Chha Rahe Hain In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Wo Aa Rahe Hain Wo Ja Rahe Hain Mere Tasawwur Pe Chha Rahe Hain is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem Wo Aa Rahe Hain Wo Ja Rahe Hain Mere Tasawwur Pe Chha Rahe Hain for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download Wo Aa Rahe Hain Wo Ja Rahe Hain Mere Tasawwur Pe Chha Rahe Hain in PDF.