Jo ZaKHm Jama Kiye Aankh-bhar Sunata Hun

jo zaKHm jama kiye aankh-bhar sunata hun

sunoge band zaban kya nazar sunata hun

jo sun sako to sukut-e-pas-e-nawa bhi suno

yahi to main tumhein sham o sahar sunata hun

nigah lao jo rang-e-sada kashid kare

ki main to KHamoshiyon ke hunar sunata hun

yahi kamal hai mere alag takallum ka

KHabar bhi hoti nahin jo KHabar sunata hun

agarche ek hi dariya ki naghma-KHwani hai

kinara saut teri main bhanwar sunata hun

tumhaare waste shayad mera kalam na ho

jinhen KHabar nahin main kya KHabar sunata hun

Thahar gaya hai mere harf ka yahi mear

dhuan uData nahin main sharar sunata hun

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo ZaKHm Jama Kiye Aankh-bhar Sunata Hun In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Jo ZaKHm Jama Kiye Aankh-bhar Sunata Hun is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Jo ZaKHm Jama Kiye Aankh-bhar Sunata Hun for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Jo ZaKHm Jama Kiye Aankh-bhar Sunata Hun in PDF.