Kabhi Aaine Sa Bhi Sochna Mujhe Aa Gaya

kabhi aaine sa bhi sochna mujhe aa gaya

mera dil ke bich hi TuTna mujhe aa gaya

teri pahli did ke sath hi wo fusun bhi tha

tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya

koi gahre nil sa sehr hai teri aankh mein

ye wo jhil hai jahan Dubna mujhe aa gaya

mujhe kya jo ho koi lai mein sher mein rang mein

mera dukh ye hai use DhunDna mujhe aa gaya

ki ada-e-yar pe munhasir meri chaal thi

kahin jitna kahin haarna mujhe aa gaya

jahan fart-e-masti mein kaj-qadam the saman-baran

koi gir raha tha to thamna mujhe aa gaya

baDe kaam ki thi jo guftugu rahi ru-ba-ru

tu na jaan, par tujhe jaanna mujhe aa gaya

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Aaine Sa Bhi Sochna Mujhe Aa Gaya In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Kabhi Aaine Sa Bhi Sochna Mujhe Aa Gaya is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Kabhi Aaine Sa Bhi Sochna Mujhe Aa Gaya for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Kabhi Aaine Sa Bhi Sochna Mujhe Aa Gaya in PDF.