Jab ShaKH-e-tamanna Pe Koi Phul Khila Hai

jab shaKH-e-tamanna pe koi phul khila hai

ummid ke sahraon mein tufan uTha hai

tu meri nigahon mein jise DhunDh raha hai

wo husn mere sher ke parde mein chhupa hai

tham tham ke chamakte rahe palkon pe sitare

ruk ruk ke tere dard ka afsana kaha hai

apne hi muqaddar ka koi phul na jaga

ek umr bahaaron ne lahu mera piya hai

is tarah se badli hai gulistan ki haqiqat

shabnam ke KHunuk jism pe shaalon ki rida hai

shayad hai wahi meri mohabbat ka hayula

ek saya jo chup-chap dariche mein khaDa hai

taKHliq isi se hui naghmat ki duniya

'iqbaal' ko jo gham teri KHushiyon se mila hai

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab ShaKH-e-tamanna Pe Koi Phul Khila Hai In English By Famous Poet Iqbal Minhas. Jab ShaKH-e-tamanna Pe Koi Phul Khila Hai is written by Iqbal Minhas. Read famous Poem Jab ShaKH-e-tamanna Pe Koi Phul Khila Hai for youth and Student by Iqbal Minhas. Free Download Jab ShaKH-e-tamanna Pe Koi Phul Khila Hai in PDF.