Na Koi Ghair Na Apna Dikhai Deta Hai

na koi ghair na apna dikhai deta hai

har aadmi mujhe tujh sa dikhai deta hai

rawish rawish tere qadmon ke naqsh milte hain

gali gali tera chehra dikhai deta hai

shab-e-firaq ki tarikiyon ka haal na puchh

charagh-e-mah bhi andha dikhai deta hai

ajib rang-e-bahaaran hai ab ke gulshan mein

na koi phul na ghuncha dikhai deta hai

utar ke dekh zara pyar ke samundar mein

ki mauj mauj mein rasta dikhai deta hai

kahan kahan pe jalaun dil-o-nazar ke charagh

har ek ghar mein andhera dikhai deta hai

usi ka zahr hai hathon mein aaj tak 'iqbaal'

wo ek phul jo pyara dikhai deta hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Koi Ghair Na Apna Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Iqbal Minhas. Na Koi Ghair Na Apna Dikhai Deta Hai is written by Iqbal Minhas. Read famous Poem Na Koi Ghair Na Apna Dikhai Deta Hai for youth and Student by Iqbal Minhas. Free Download Na Koi Ghair Na Apna Dikhai Deta Hai in PDF.