Nagar Mein Rahte The Lekin Gharon Se Dur Rahe

nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe

ajib log the jo dilbaron se dur rahe

duaen mangte phirte hain log galiyon mein

mata-e-hosh hamare saron se dur rahe

ye log kimiya-gar hain parakh na len hum ko

ye baat soch ke wo be-zaron se dur rahe

mata-e-dard luTate rahe zamane mein

hum ahl-e-dard the saudagaron se dur rahe

girun zamin pe main TuT kar sitara sa

magar sukun ki KHwahish paron se dur rahe

nikal ke KHud se shanasai ki nazar DhunDo

jo log ghar mein rahe dusron se dur rahe

badan hai shishe ke manind waqt ka iqbaal

use batao ki hum pattharon se dur rahe

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nagar Mein Rahte The Lekin Gharon Se Dur Rahe In English By Famous Poet Iqbal Minhas. Nagar Mein Rahte The Lekin Gharon Se Dur Rahe is written by Iqbal Minhas. Read famous Poem Nagar Mein Rahte The Lekin Gharon Se Dur Rahe for youth and Student by Iqbal Minhas. Free Download Nagar Mein Rahte The Lekin Gharon Se Dur Rahe in PDF.