Mund Kar Aankhen Talash-e-bahr-o-bar Karne Lage

mund kar aankhen talash-e-bahr-o-bar karne lage

log apni zat ke andar safar karne lage

manjhiyon ke git sun kar aa gaya dariya ko josh

sahilon pe raqs tezi se bhanwar karne lage

baDh gaya hai is qadar ab surKH-ru hone ka shauq

log apne KHun se jismon ko tar karne lage

bandh de shaKHon se tu miTTi ke phal kaghaz ke phul

ye taqaza rah mein ujDe shajar karne lage

ganw mein kachche gharon ki qimaten baDhne lagin

shahr se naql-e-makani ahl-e-zar karne lage

jaise har chehre ki aankhen sar ke pichhe aa lagin

sab ke sab ulTe hi qadmon se safar karne lage

ab paDhe-likkhe bhi 'sajid' aa ke bekari se tang

shab ko diwaron pe chaspan poster karne lage

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mund Kar Aankhen Talash-e-bahr-o-bar Karne Lage In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Mund Kar Aankhen Talash-e-bahr-o-bar Karne Lage is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Mund Kar Aankhen Talash-e-bahr-o-bar Karne Lage for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Mund Kar Aankhen Talash-e-bahr-o-bar Karne Lage in PDF.