Pata Kaise Chale Duniya Ko Qasr-e-dil Ke Jalne Ka

pata kaise chale duniya ko qasr-e-dil ke jalne ka

dhuen ko rasta milta nahin bahar nikalne ka

bata phulon ki masnad se utar ke tujh pe kya guzri

mera kya main to aadi ho gaya kanTon pe chalne ka

mere ghar se ziyaada dur sahra bhi nahin lekin

udasi nam hi leti nahin bahar nikalne ka

chaDhega zahr KHushbu ka use aahista aahista

kabhi bhugtega wo KHamyaza phulon ko masalne ka

musalsal jagne ke baad KHwahish ruTh jati hai

chalan sikha hai bachche ki tarah us ne machalne ka

zar-e-dil le ke pahuncha tha mata-e-jaan bhi kho baiTha

diya us ne na mauqa bhi kaf-e-afsos milne ka

KHushi se kaun karta hai ghamon ki parwarish 'sajid'

kise hai shauq logo dard ke sanche mein Dhalne ka

(1001) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pata Kaise Chale Duniya Ko Qasr-e-dil Ke Jalne Ka In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Pata Kaise Chale Duniya Ko Qasr-e-dil Ke Jalne Ka is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Pata Kaise Chale Duniya Ko Qasr-e-dil Ke Jalne Ka for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Pata Kaise Chale Duniya Ko Qasr-e-dil Ke Jalne Ka in PDF.