Pyase Ke Pas Raat Samundar PaDa Hua

pyase ke pas raat samundar paDa hua

karwaT badal raha tha barabar paDa hua

bahar se dekhiye to badan hain hare-bhare

lekin lahu ka kal hai andar paDa hua

diwar to hai rah mein salim khaDi hui

saya hai darmiyan se kaT kar paDa hua

andar thi jitni aag wo ThanDi na ho saki

pani tha sirf ghas ke upar paDa hua

hathon pe bah rahi hai lakiron ki aabju

qismat ka khet phir bhi hai banjar paDa hua

ye KHud bhi aasman ki wusat mein qaid hai

kya dekhta hai chand ko chhat par paDa hua

jalta hai roz sham ko ghaTi ke us taraf

din ka charagh jhil ke andar paDa hua

mara kisi ne sang to Thokar lagi mujhe

dekha to aasman tha zamin par paDa hua

(1436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyase Ke Pas Raat Samundar PaDa Hua In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Pyase Ke Pas Raat Samundar PaDa Hua is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Pyase Ke Pas Raat Samundar PaDa Hua for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Pyase Ke Pas Raat Samundar PaDa Hua in PDF.