RuKH-e-raushan Ka Raushan Ek Pahlu Bhi Nahin Nikla

ruKH-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla

jise main chand samjha tha wo jugnu bhi nahin nikla

wo tera dost jo phulon ko pathrane ka aadi tha

kuchh us se shoabda-bazi mein kam tu bhi nahin nikla

abhi kis munh se main dawa karun shadab hone ka

abhi tarshe hue shane pe bazu bhi nahin nikla

gharon se kis liye ye bhiD saDkon par nikal aai

abhi to banTne wo shaKHs KHushbu bhi nahin nikla

shikari aae the dil mein shikar-e-arzu karne

magar is dasht mein to ek aahu bhi nahin nikla

teri bhi husn-kari ke hazaron log hain qail

gali-kuchon se lekin us ka jadu bhi nahin nikla

bata is daur mein iqbaal-'sajid' kaun niklega

sadaqat ka alam le kar agar tu bhi nahin nikla

(1861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH-e-raushan Ka Raushan Ek Pahlu Bhi Nahin Nikla In English By Famous Poet Iqbal Sajid. RuKH-e-raushan Ka Raushan Ek Pahlu Bhi Nahin Nikla is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem RuKH-e-raushan Ka Raushan Ek Pahlu Bhi Nahin Nikla for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download RuKH-e-raushan Ka Raushan Ek Pahlu Bhi Nahin Nikla in PDF.