Sae Ki Tarah BaDh Na Kabhi Qad Se Ziyaada

sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada

thak jaega bhagega agar had se ziyaada

mumkin hai tere hath se miT jaen lakiren

ummid na rakh gauhar-e-maqsad se ziyaada

lag jae na tujh par hi tere qatl ka ilzam

badnam to hota hai bura bad se ziyaada

KHwahish hai baDai ki to andar se baDa ban

kar zehn ki bhi nashw-o-numa qad se ziyaada

dekhun to mere jism pe shaKHen hain na patte

sochun to ghana chhanw main bargad se ziyaada

rahne do KHalaon mein meri qabr na khodo

hai pyar mujhe KHak ki masnad se ziyaada

aankhen to lagi rahti hain darwaze ki jaanib

milti hai KHushi apni hi aamad se ziyaada

kya jaaniye kya baat hai ek umr se 'sajid'

viran hai TuTe hue marqad se ziyaada

(1087) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sae Ki Tarah BaDh Na Kabhi Qad Se Ziyaada In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Sae Ki Tarah BaDh Na Kabhi Qad Se Ziyaada is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Sae Ki Tarah BaDh Na Kabhi Qad Se Ziyaada for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Sae Ki Tarah BaDh Na Kabhi Qad Se Ziyaada in PDF.