Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin

sang-dil hun is qadar aankhen bhigo sakta nahin

main ki pathrili zamin mein phul bo sakta nahin

lag chuke hain damanon par jitne ruswai ke dagh

in ko aansu kya samundar tak bhi dho sakta nahin

ek do dukh hon to phir un se karun ji-bhar ke pyar

sab ko sine se laga lun ye to ho sakta nahin

teri barbaadi pe ab aansu bahaun kis liye

main to KHud apni tabahi par bhi ro sakta nahin

jis ne samjha ho hamesha dosti ko karobar

dosto wo to kisi ka dost ho sakta nahin

KHwahishon ki nazr kar dun kis liye anmol ashk

kachche dhagon mein koi moti piro sakta nahin

main tere dar ka bhikari tu mere dar ka faqir

aadmi is daur mein KHuddar ho sakta nahin

mujh ko itna bhi nahin hai surKH-ru hone ka shauq

be-sabab taza lahu ki fasl bo sakta nahin

yaad ke shoalon pe jalta hai agar mera badan

oDh kar phulon ki chadar tu bhi so sakta nahin

hath jis se kuchh na aae us ki KHwahish kyun karun

dudh ki manind main pani bilo sakta nahin

(1429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin in PDF.