Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko

suraj hun chamakne ka bhi haq chahiye mujh ko

main kohr mein lipTa hun shafaq chahiye mujh ko

ho jae koi chiz to mujh se bhi ibarat

likhne ke liye sada waraq chahiye mujh ko

KHanjar hai tu lahra ke mere dil mein utar ja

hai aankh ki KHwahish ki shafaq chahiye mujh ko

ho wahm ki dastak ki kisi panw ki aahaT

jine ke liye kuchh to ramaq chahiye mujh ko

har bar meri rah mein hail ho naya sang

har bar koi taza sabaq chahiye mujh ko

jo kuchh bhi ho baqi wo mere hath pe likh de

mazmun bahar-taur adaq chahiye mujh ko

jo zehn mein taswir hai kaghaz par utar aae

duniya mein numaish ka bhi haq chahiye mujh ko

har phul ke sine mein gul-e-sang ho 'sajid'

har sang mein ek rang-e-qalaq chahiye mujh ko

(1557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko in PDF.