Naqab Chehre Se Uske Kabhi Sarakta Tha

naqab chehre se us ke kabhi sarakta tha

to kale baadalon mein chand sa chamakta tha

use bhi KHitta-e-sarsabz mil gaya shayad

wo ek abr ka TukDa jo kal bhaTakta tha

wo mere sath jo chalta tha ghar ke aangan mein

to mahtab bhi palken bahut jhapakta tha

ye kah ke barq bhi barsat mein bahut roi

ki ek peD chaman mein ghazab mahakta tha

gham-e-hayat ne baKHshe hain sare sannaTe

kabhi hamare bhi pahlu mein dil dhaDakta tha

jo ho gai hai kabhi abr ki nawazish bhi

to saeban kai din talak Tapakta tha

akele par utar ke bahut hai ranj mujhe

main us ka bojh uTha kar bhi tair sakta tha

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqab Chehre Se Uske Kabhi Sarakta Tha In English By Famous Poet Irfan Ahmad. Naqab Chehre Se Uske Kabhi Sarakta Tha is written by Irfan Ahmad. Read famous Poem Naqab Chehre Se Uske Kabhi Sarakta Tha for youth and Student by Irfan Ahmad. Free Download Naqab Chehre Se Uske Kabhi Sarakta Tha in PDF.