SaKHt Viran Hai Jahan Tere Baad

saKHt viran hai jahan tere baad

koi tujh sa hai kahan tere baad

kab talak aah-o-fughan tere baad

KHema-e-dil hai dhuan tere baad

jaane kis shahr mein aabaad hai tu

hum hain barbaad yahan tere baad

hijraten kar gae imkan ke tuyur

ab yaqin hai na guman tere baad

aisa aalam bhi na dekha tha kabhi

KHali KHali hai makan tere baad

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SaKHt Viran Hai Jahan Tere Baad In English By Famous Poet Irfan Ahmad. SaKHt Viran Hai Jahan Tere Baad is written by Irfan Ahmad. Read famous Poem SaKHt Viran Hai Jahan Tere Baad for youth and Student by Irfan Ahmad. Free Download SaKHt Viran Hai Jahan Tere Baad in PDF.