KHwab Mein Bhi Meri Zanjir-e-safar Ka Jagna

KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna

aankh kya lagna ki ek sauda-e-sar ka jagna

agle din kya hone wala tha ki ab tak yaad hai

intizar-e-subh mein wo sare ghar ka jagna

bastiyon se shab-nawardon ka chala jaana magar

raat bhar ab bhi charagh-e-rahguzar ka jagna

aaKHiri ummid ka mahtab jal bujhne ke baad

mera so jaana mere diwar-o-dar ka jagna

phir hawaon se kisi imkan ki milna nawed

phir lahu mein aarzu-e-taza-tar ka jagna

ek din us lams ke asrar khulna jism par

ek shab is KHak mein barq-o-sharar ka jagna

is ka harf-e-muKHtasar bedariyon ka silsila

lafz mein mani ka, mani mein asar ka jagna

be-nawa patte bhi aayat-e-numu paDhte hue

tum ne dekha hai kabhi shaKH-e-shajar ka jagna

yak-ba-yak har raushni ka Dub jaana aur phir

aasman par ek tilsm-e-sim-o-zar ka jagna

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Mein Bhi Meri Zanjir-e-safar Ka Jagna In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. KHwab Mein Bhi Meri Zanjir-e-safar Ka Jagna is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem KHwab Mein Bhi Meri Zanjir-e-safar Ka Jagna for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download KHwab Mein Bhi Meri Zanjir-e-safar Ka Jagna in PDF.