Koi Wahshi Chiz Si Zanjir-e-pa Jaise Hawa

koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa

dur tak lekin safar ka silsila jaise hawa

band kamre mein paraganda KHayalon ki ghuTan

aur darwaze pe ek aawaz-e-pa jaise hawa

girti diwaron ke niche sae jaise aadmi

tang galiyon mein faqat aks-e-hawa jaise hawa

aasman-ta-asman sunsan sannaTe ki jhil

daera-dar-daera meri nawa jaise hawa

do larazte hath jaise saya phailae shajar

kanpte honTon pe ek harf-e-dua jaise hawa

paniyon mein Dubti jaise ruton ki kashtiyan

sahilon par chiKHti koi sada jaise hawa

kitna KHali hai ye daman jis tarah daman-e-dasht

kuchh na kuchh to de use mere KHuda jaise hawa

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Wahshi Chiz Si Zanjir-e-pa Jaise Hawa In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Koi Wahshi Chiz Si Zanjir-e-pa Jaise Hawa is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Koi Wahshi Chiz Si Zanjir-e-pa Jaise Hawa for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Koi Wahshi Chiz Si Zanjir-e-pa Jaise Hawa in PDF.