Zer-e-mehrab Na Baala-e-makan Bolti Hai

zer-e-mehrab na baala-e-makan bolti hai

KHamushi aa ke sar-e-KHalwat-e-jaan bolti hai

ye mera wahm hai ya mujh ko bulate hain wo log

kan bajte hain ki mauj-e-guzaran bolti hai

lo sawal-e-dahan-e-basta ka aata hai jawab

tir sargoshiyan karte hain kaman bolti hai

ek main hun ki is aashob-e-nawa mein chup hun

warna duniya mere zaKHmon ki zaban bolti hai

hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein

hum to sunte the ki zanjir-e-giran bolti hai

dard ke bab mein timsal-gari hai KHamosh

ban bhi jati hai to taswir kahan bolti hai

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zer-e-mehrab Na Baala-e-makan Bolti Hai In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Zer-e-mehrab Na Baala-e-makan Bolti Hai is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Zer-e-mehrab Na Baala-e-makan Bolti Hai for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Zer-e-mehrab Na Baala-e-makan Bolti Hai in PDF.