Zoam-e-hasti Mere Idrak Se Bandha Gaya Hai

zoam-e-hasti mere idrak se bandha gaya hai

aur badan turra-e-pechaak se bandha gaya hai

ek aansu teri poshak se bandha gaya hai

ya sitara koi aflak se bandha gaya hai

ishq ko gesu-e-pechaak se bandha gaya hai

aur phir gardish-e-aflak se bandha gaya hai

KHak uData hun main ta-umr nibhane ke liye

ek rishta jo mera KHak se bandha gaya hai

TuTe paDte hain tamashe ko yahan par naKHchir

aaj sayyaad ko fitrak se bandha gaya hai

kisht-e-wahshat ho jise dekhni aae dekhe

har bagula KHas-o-KHashak se bandha gaya hai

phir wahi harf-e-tamanna hai wahi saat-e-dard

phir hamein dida-e-namnak se bandha gaya hai

ab kisi kuza-gari ki nahin hajat ki mujhe

ta fana ek isi chaak se bandha gaya hai

hum gunahgaron ki hai aaKHiri ummid wahi

ahd ek jo shah-e-laulak se bandha gaya hai

kuja ye shoKH-ada duniya kuja main 'irfan'

mard-e-sada zan-e-bebak se bandha gaya hai

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zoam-e-hasti Mere Idrak Se Bandha Gaya Hai In English By Famous Poet Irfan Waheed. Zoam-e-hasti Mere Idrak Se Bandha Gaya Hai is written by Irfan Waheed. Read famous Poem Zoam-e-hasti Mere Idrak Se Bandha Gaya Hai for youth and Student by Irfan Waheed. Free Download Zoam-e-hasti Mere Idrak Se Bandha Gaya Hai in PDF.