Dil O Nazar Mein Tere Rup Ko Basata Hua

dil o nazar mein tere rup ko basata hua

teri gali se guzarta hun jagmagata hua

ghazal ke phul mere zehn mein mahakte hue

tera KHayal mujhe raat bhar jagata hua

wo bargah-e-adab hai aqidaton ki jagah

main us gali se kyun guzrunga KHak uData hua

mere junun se harifon ke panw ukhaDte hue

main jaan dene ke chakkar mein jaan bachata hua

kise mila tere qadmon mein jaan de dena

main sruKH-ru hua chahat ke kaam aata hua

tumhaari yaad mujhe is tarah se lagti hai

koi charag andhere mein jhilmilata hua

hatheliyon ki lakiren mujhe parakhti huin

main har qadam pe muqaddar ko aazmata hua

jawab kyun hain sabhi KHamoshi mein dubke hue

sawal zehn ke aangan mein aata jata hua

mere KHilaf sabhi sazishen rachin jis ne

wo ro raha hai meri dastan sunata hua

hamari samt lagatar war hote hue

use bachane mein aksar main choT khata hua

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil O Nazar Mein Tere Rup Ko Basata Hua In English By Famous Poet Irshad Khan ’Sikandar’. Dil O Nazar Mein Tere Rup Ko Basata Hua is written by Irshad Khan ’Sikandar’. Read famous Poem Dil O Nazar Mein Tere Rup Ko Basata Hua for youth and Student by Irshad Khan ’Sikandar’. Free Download Dil O Nazar Mein Tere Rup Ko Basata Hua in PDF.