Bujhe Ho, Hath Mayusi Lagi Hai Kya

bujhe ho, hath mayusi lagi hai kya

dar-e-ulfat pe ab kunDi lagi hai kya

abhi bhi tujh dar-e-dil par bata jaanan

hamare nam ki taKHti lagi hai kya

samundar baukhalaya phir raha hai kyun

kinare phir koi kashti lagi hai kya

hamin tum se hamesha milne aaen kyun

tumhaare panw mein mehndi lagi hai kya

kaTe hain par to kaTne do miyan socho

iradon par koi qainchi lagi hai kya

jahan kal ishq par charcha hua ghanTon

wahin ab husn ki manDi lagi hai kya

hain aankhen surKH lab zaKHmi ana ghayal

tere kirdar ki boli lagi hai kya

teri galiyon se jo guzra use jaanan

bhala duniya kabhi achchhi lagi hai kya

yaqinan aaj be-parda wo nikle hain

wagarna chandni phiki lagi hai kya

na duniya hai na uljhan hai sukun hai bas

Thikane ab meri miTTi lagi hai kya

kitaben ghar mere suraj si raushan hain

tere kamre mein ye batti lagi hai kya

zaban se aah kya uf tak nahin nikli

to ab ke choT kuchh gahri lagi hai kya

miTa loge jihaalat ko 'sikandar' tum

tumhein bhi ye nai dhunki lagi hai kya

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhe Ho, Hath Mayusi Lagi Hai Kya In English By Famous Poet Irshad Khan ’Sikandar’. Bujhe Ho, Hath Mayusi Lagi Hai Kya is written by Irshad Khan ’Sikandar’. Read famous Poem Bujhe Ho, Hath Mayusi Lagi Hai Kya for youth and Student by Irshad Khan ’Sikandar’. Free Download Bujhe Ho, Hath Mayusi Lagi Hai Kya in PDF.