Aankhon Ki Dahliz Pe Aa Kar BaiTh Gai

aankhon ki dahliz pe aa kar baiTh gai

teri surat KHwab saja kar baiTh gai

kal teri taswir mukammal ki main ne

fauran us par titli aa kar baiTh gai

tana-bana bunte bunte hum udhDe

hasrat phir thak kar ghash kha kar baiTh gai

khoj raha hai aaj bhi wo gular ka phul

duniya to afwah uDa kar baiTh gai

rone ki tarkib hamare aai kaam

gham ki miTTi pani pa kar baiTh gai

wo bhi laDte laDte jag se haar gaya

chahat bhi ghar-bar luTa kar baiTh gai

buDhi man ka shayad lauT aaya bachpan

guDiyon ka ambar laga kar baiTh gai

ab ke charaghon ne chaunkaya duniya ko

aandhi aaKHir mein jhunjhla kar baiTh gai

ek se baDh kar ek the dawn sharafat ke

jit magar hum se katra kar baiTh gai

tere shahr se ho kar aai tez hawa

phir dil ki buniyaad hila kar baiTh gai

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ki Dahliz Pe Aa Kar BaiTh Gai In English By Famous Poet Irshad Khan ’Sikandar’. Aankhon Ki Dahliz Pe Aa Kar BaiTh Gai is written by Irshad Khan ’Sikandar’. Read famous Poem Aankhon Ki Dahliz Pe Aa Kar BaiTh Gai for youth and Student by Irshad Khan ’Sikandar’. Free Download Aankhon Ki Dahliz Pe Aa Kar BaiTh Gai in PDF.