Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai

koi din ka aab-o-dana aur hai

phir chaman aur aashiyana aur hai

han dil-e-be-tab chande intizar

amn-o-rahat ka Thikana aur hai

shama phiki raat kam mahfil udas

ab mughanni ka tarana aur hai

ai jawani tu kahani ho gai

hum nahin wo ya zamana aur hai

jis ko jaan-e-zindagani kah saken

wo hayat-e-jawedana aur hai

jis ko sun kar zohra-e-sang aab ho

aah wo ghamgin fasana aur hai

wa agar sama-e-raza ho to kahun

ek pand-e-mushfiqana aur hai

ittifaqi hai yahan ka irtibaat

sab hain begane yagana aur hai

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai In English By Famous Poet Ismail Merathi. Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai in PDF.