Kuja Hasti Bata De Tu Kahan Hai

kuja hasti bata de tu kahan hai

jise kahte hain bismil nim-jaan hai

hamara ghar hai yani KHana-e-mast

mahal hi kaKH hai koshak makan hai

chacha am hai pisar beTa pidar bap

to kumba KHanuman-o-dudaman hai

safina naw kashti ban mallah

bahe pani to wo aab-e-rawan hai

batao aag kya hai nar-o-atish

dhuan kya chiz hai do-dud-o-KHan hai

jise kahte ho tum gardun-e-gardan

falak charKH-o-siphar-o-asman hai

wahi jannat ki jis ki aarzu hai

naim-o-KHuld-o-firdaus-o-jinan hai

suna kijiye hikayat hai kahani

kaha kijiye fasana dastan hai

mera sar ras hai matha jabin hai

mere munh mein zaban hai jo lisan hai

kaho tum jo taraazu hai so mizan

suno tum aazmaish imtihan hai

hajar patthar hai aur qirtas kaghaz

subuk halka hai aur bhaari giran hai

asa laThi alam neza sinan bhaal

jise hum qaus kahte hain kaman hai

nihan-o-musatatar poshida maKHfi

jo bariz hai to zahir hai ayan hai

agar jaano ho tum rewaD ko galla

to charwaha bhi rai aur shaban hai

kaha karte hain shair ko suKHan-dan

jo bhedi hai to mahram raazdan hai

humanja aamdam jae ki hasti

wahin aaya hun main bhi tu jahan hai

yahi kaun-o-makan duniya hai aalam

ye hi geti hi gihan hai jahan hai

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuja Hasti Bata De Tu Kahan Hai In English By Famous Poet Ismail Merathi. Kuja Hasti Bata De Tu Kahan Hai is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Kuja Hasti Bata De Tu Kahan Hai for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Kuja Hasti Bata De Tu Kahan Hai in PDF.