Mohabbat Ka Fasana Humse Dohraya Nahin Jata

mohabbat ka fasana hum se dohraya nahin jata

bas ab hum se fareb-e-arzu khaya nahin jata

yahan tak to mujhe dast-e-karam par naz hai un ke

agar ab hath phailaun to phailaya nahin jata

tamasha dekhne wale tamasha ban ke rah jaen

ba-qadr-e-dard tum se dil ko taDpaya nahin jata

ye aalam hai qafas ka dar khula hai sehn-e-gulshan mein

magar sayyaad ko ab chhoD kar jaya nahin jata

mujhe dekho ki ghairon ko bhi sine se lagata hun

magar tum se to apnon ko bhi apnaya nahin jata

jo aankhen dekh leti hain KHizan ka daur phir un se

bahaaron ka fareb-e-rang-o-bu khaya nahin jata

main un ko be-ruKHi ka kis liye ilzam dun 'jafar'

andhere mein to apna do-qadam saya nahin jata

(563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ka Fasana Humse Dohraya Nahin Jata In English By Famous Poet Jafar Abbas Safvi. Mohabbat Ka Fasana Humse Dohraya Nahin Jata is written by Jafar Abbas Safvi. Read famous Poem Mohabbat Ka Fasana Humse Dohraya Nahin Jata for youth and Student by Jafar Abbas Safvi. Free Download Mohabbat Ka Fasana Humse Dohraya Nahin Jata in PDF.