Ranj Se Waqif KHushi Se Aashna Hone Na De

ranj se waqif KHushi se aashna hone na de

zindagi ko apne maqsad se juda hone na de

ishq jab tak tai na kar le manzilen isar ki

dard ki lazzat se dil ko aashna hone na de

aur jo kuchh ho hamein manzur hai yarab magar

aadmi ko aadmi ka aasra hone na de

dard-e-dil kahiye jise us ki to ye pahchan hai

bhul kar jo hath sine se juda hone na de

ishq jis dil mein jaDen apni jama le ek bar

umr-bhar naKHl-e-tamanna ko hara hone na de

naKHuda ki koshishen be-kar tadbiren abas

par jab manjdhaar se beDa KHuda hone na de

rah-e-hasti mein jo 'jafar' har qadam par moD hain

har kas-o-na-kas ko apna rahnuma hone na de

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ranj Se Waqif KHushi Se Aashna Hone Na De In English By Famous Poet Jafar Abbas Safvi. Ranj Se Waqif KHushi Se Aashna Hone Na De is written by Jafar Abbas Safvi. Read famous Poem Ranj Se Waqif KHushi Se Aashna Hone Na De for youth and Student by Jafar Abbas Safvi. Free Download Ranj Se Waqif KHushi Se Aashna Hone Na De in PDF.