Raston Mein Dher Ho Kar Phul Se Paikar Gire

raston mein Dher ho kar phul se paikar gire

barg kitne aandhiyon ke panw mein aa kar gire

ai junun ki saato aamad bahaaron ki hui

dekhna wo shaKHchon se titliyon ke par gire

tum na sun pae sada dil TuTne ki aur yahan

shor wo uTTha zamin par jis tarah ambar gire

kaun jaane kitni yaadon se hua dil zaKHm zaKHm

chandni barsi ki meri ruh par KHanjar gire

muntazir hun gham ke is tufan-e-abr-o-baad mein

kab ghaTa ka shor kam ho kab hawa thak kar gire

yun hua hun jazb 'jafar' waqt ke tufan mein

tah main gahre paniyon ki jis tarah kankar gire

(611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raston Mein Dher Ho Kar Phul Se Paikar Gire In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Raston Mein Dher Ho Kar Phul Se Paikar Gire is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Raston Mein Dher Ho Kar Phul Se Paikar Gire for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Raston Mein Dher Ho Kar Phul Se Paikar Gire in PDF.