ChheD Kar Tazkira-e-daur-e-jawani Roya

chheD kar tazkira-e-daur-e-jawani roya

raat yaron ko suna kar main kahani roya

zikr tha kucha o bazar ke hangamon ka

jaane kya soch ke wo yusuf-e-sani roya

ghairat-e-ishq ne kya kya na bahae aansu

sun ke baaten teri ghairon ki zabani roya

jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ek taza bahaar

dekh kar main teri taswir purani roya

chashm-e-arbab-e-wafa hai jo lahu roti hai

ghair phir ghair hai roya bhi to pani roya

teri mahki hui sanson ki lawen yaad aain

aaj to dekh ke main subh suhani roya

ai watan jab bhi sar-e-dasht koi phul khila

dekh kar tere shahidon ki nishani roya

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChheD Kar Tazkira-e-daur-e-jawani Roya In English By Famous Poet Jafar Tahir. ChheD Kar Tazkira-e-daur-e-jawani Roya is written by Jafar Tahir. Read famous Poem ChheD Kar Tazkira-e-daur-e-jawani Roya for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download ChheD Kar Tazkira-e-daur-e-jawani Roya in PDF.