Donon Hathon Mein UThae Hue Bhaari Patthar

donon hathon mein uThae hue bhaari patthar

marne aae hain isa ko hawari patthar

main ne jo tere tasawwur mein tarashe the kabhi

le gae wo bhi mere ghar se pujari patthar

aadmi aaj kahin jae to kyunkar jae

sar pe sahra to zamin sari ki sari patthar

sab se pahle mere bhai ne hi phenka mujh par

pahla patthar hi mujhe ho gaya kari patthar

rahm ai gardish-e-dauran ye tamasha kya hai

phul se shanon pe karte hain sawari patthar

jab koi ghuncha khila koi kali chaTki hai

le ke pahunchi hai wahin baad-e-bahaari patthar

dil hai is aahu-e-darmanda-o-bekas ki tarah

marte hain jise mil mil ke shikari patthar

sina-e-sang se dariya nahin bahte dekhe

kaun kahta hai ki hain dard se aari patthar

naz har but ke uTha pae na 'jafar-tahir'

chum kar chhoD diye hum ne ye bhaari patthar

(1482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Donon Hathon Mein UThae Hue Bhaari Patthar In English By Famous Poet Jafar Tahir. Donon Hathon Mein UThae Hue Bhaari Patthar is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Donon Hathon Mein UThae Hue Bhaari Patthar for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Donon Hathon Mein UThae Hue Bhaari Patthar in PDF.