Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Gham-e-jaan Hai Ki Nahin

gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan hai ki nahin

dil-sitan silsila-e-gham-zadagan hai ki nahin

har nafas bazm-e-gulistan mein ghazal-KHwan tha kabhi

har nafas nala-kashan nauha-kunan hai ki nahin

har nazar naghma-sara anjuman-ara thi kabhi

har nazar hairati-e-rang-e-jahan hai ki nahin

har zaban par tha kabhi tazkira-e-daur-e-bahaar

har zaban shikwa-gar-e-jaur-e-KHizan hai ki nahin

mai-chakan baada-nishan the lab-e-gul-rang kabhi

lab-e-gul-rang pe zaKHmon ka guman hai ki nahin

surma-e-chashm-e-inayat ki hikayat chhoDo

aaj har aankh mein aahon ka dhuan hai ki nahin

qafile jaane ghaTaon ke kahan utrenge

har KHam-e-zulf ba-hasrat-nigaran hai ki nahin

dasht-e-wahshat se nahin kam ye jahan-e-gul-o-bu

surat-e-reg-e-rawan umr-e-rawan hai ki nahin

naghma-e-baad-e-bahaari jise tum kahte ho

jaras-e-qafila-e-gul ki fughan hai ki nahin

na to bulbul ki nawa hai na sada-e-taus

sehn-e-gulzar mein ab amn-o-aman hai ki nahin

mujh se kya puchhte ho kaun yahan tak pahuncha

surKHi-e-KHar-e-bayaban se ayan hai ki nahin

zindagi kuchh bhi sahi phir bhi baDi daulat hai

maut si shai bhi yahan jins-e-giran hai ki nahin

surat-e-lutf-o-karam ye ho to dil kyun na jale

aag patthar ke bhi sine mein nihan hai ki nahin

zulm chup-chap sahe jaoge aaKHir kab tak

ai asiran-e-qafas munh mein zaban hai ki nahin

ye adab-gah-e-mohabbat hai jo chup hun 'tahir'

warna yan kaun sa andaz-e-bayan hai ki nahin

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Gham-e-jaan Hai Ki Nahin In English By Famous Poet Jafar Tahir. Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Gham-e-jaan Hai Ki Nahin is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Gham-e-jaan Hai Ki Nahin for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Gham-e-jaan Hai Ki Nahin in PDF.