Har Shai Jahan Ki Gard-o-ghubar-e-KHayal Hai

har shai jahan ki gard-o-ghubar-e-KHayal hai

aashob-gah-e-dahr mein jina muhaal hai

ye gulshan-e-yaqin bhi ba-juz wahm kuchh nahin

aalam jise kahen wo tilism-e-KHayal hai

nairagi-e-nazar ke siwa aur kuchh nahin

dud-e-firaq jalwa-e-sham-e-visal hai

ye naghma-e-wajud kisi ragni ki rakh

ek chiKH saz-e-umr-e-abad ka maal hai

har mauj hai ki hath se chhuTti hui inan

wo jast-o-KHez hai ki sambhalna muhaal hai

tapte dinon ki aag mein jine ki aarzu

shabnam ba-ru-e-gul araq-e-infial hai

tanhaiyon mein baiTh ke KHud ko shikar kar

ye dasht-e-dil bhi dasht-e-KHutan ki misal hai

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Shai Jahan Ki Gard-o-ghubar-e-KHayal Hai In English By Famous Poet Jafar Tahir. Har Shai Jahan Ki Gard-o-ghubar-e-KHayal Hai is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Har Shai Jahan Ki Gard-o-ghubar-e-KHayal Hai for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Har Shai Jahan Ki Gard-o-ghubar-e-KHayal Hai in PDF.