Kahne Ko To Kya Kya Na Dil-e-zar Mein Aae

kahne ko to kya kya na dil-e-zar mein aae

har baat kahan qalib-e-izhaar mein aae

nazdik jo pahunche to wo aahon ka dhuan tha

kahne ko to hum saya-e-diwar mein aae

har mauja-e-KHun sar se guzar jae to achchha

har phul mere halqa-e-dastar mein aae

hum apni salibon ki hifazat mein khaDe hain

ab jo bhi shikan gesu-e-dil-dar mein aae

panw mein agar tauq-o-salasil hain to kya gham

ai ham-safaro farq na raftar mein aae

ek umr bhaTakte hue guzri hai junun mein

ab kaun fareb-e-nigah-e-yar mein aae

ai kash kabhi us ka idhar se bhi guzar ho

ek din to saba lauT ke gulzar mein aae

jachte bhi to kya chashm-e-KHaridar mein 'tahir'

hum kaun se yusuf the jo bazar mein aae

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahne Ko To Kya Kya Na Dil-e-zar Mein Aae In English By Famous Poet Jafar Tahir. Kahne Ko To Kya Kya Na Dil-e-zar Mein Aae is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Kahne Ko To Kya Kya Na Dil-e-zar Mein Aae for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Kahne Ko To Kya Kya Na Dil-e-zar Mein Aae in PDF.