Jab Qaum Par Aafat Aai Ho Jab Mulk PaDa Ho Mushkil Mein

jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein

insan wo kya mar miTne ka ehsas na ho jis ke dil mein

hansne ka tariqa paida kar rone ka saliqa paida kar

hans phul ki surat gulshan mein ro shama ki surat mahfil mein

qatil ke dil ki kamzori ne sara kaam bigaD diya

hum tishna-e-shauq-e-shahadat the KHanjar bhi tha dast-e-qatil mein

mahfil ki mahfil behis hai tari hai jumud insanon par

uTh soz ka aalam barpa kar aur aag laga de har dil mein

har qatra dariya banne ko betab dikhai deta hai

har mauj-e-rawan bechain nazar aati hai firaq-e-sahil mein

'sarshaar' wo kyunkar kahte hain hum qaum o watan ke KHadim hain

Dale na gae jo zindan mein jakDe na gae jo salasil mein

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Qaum Par Aafat Aai Ho Jab Mulk PaDa Ho Mushkil Mein In English By Famous Poet Jaimini Sarshar. Jab Qaum Par Aafat Aai Ho Jab Mulk PaDa Ho Mushkil Mein is written by Jaimini Sarshar. Read famous Poem Jab Qaum Par Aafat Aai Ho Jab Mulk PaDa Ho Mushkil Mein for youth and Student by Jaimini Sarshar. Free Download Jab Qaum Par Aafat Aai Ho Jab Mulk PaDa Ho Mushkil Mein in PDF.