Shab-e-wada Hai Tu Hai Aur Main Hun

shab-e-wada hai tu hai aur main hun

hujum-e-arzu hai aur main hun

dil-e-begana-KHu hai aur main hun

baghal mein ek adu hai aur main hun

miTata hi raha jis ko muqaddar

wo meri aarzu hai aur main hun

pareshan-KHatiri kahti hai apni

kisi ki justuju hai aur main hun

shab-e-tanhai-e-furqat mein dil se

kuchh us ki guftugu hai aur main hun

gulistan-e-jahan hai qabil-e-sair

tilism-e-rang-o-bu hai aur main hun

nigah-e-lutf-e-dilbar ka hai izhaar

phaTe dil ka rafu hai aur main hun

kahin chhoDa agar qatil ka daman

tu phir mera lahu hai aur main hun

'jalal' us ko banaya us ne dushman

qayamat mein adu hai aur main hun

(629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-wada Hai Tu Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Jalal Lakhnavi. Shab-e-wada Hai Tu Hai Aur Main Hun is written by Jalal Lakhnavi. Read famous Poem Shab-e-wada Hai Tu Hai Aur Main Hun for youth and Student by Jalal Lakhnavi. Free Download Shab-e-wada Hai Tu Hai Aur Main Hun in PDF.