Kya Kya Dilon Ka KHauf Chhupana PaDa Hamein

kya kya dilon ka KHauf chhupana paDa hamein

KHud Dar gae to sab ko Darana paDa hamein

ek dusre se bach ke nikalna muhaal tha

ek dusre ko raund ke jaana paDa hamein

apne diye ko chand batane ke waste

basti ka har charagh bujhana paDa hamein

wahshi hawa ne aise barahna kiye badan

apna lahu libas banana paDa hamein

zeli hikayaton mein sabhi log kho gae

qissa tamam phir se sunana paDa hamein

'ali' ana pe sanehe kya kya guzar gae

kis kis ki samt hath baDhana paDa hamein

(1023) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Dilon Ka KHauf Chhupana PaDa Hamein In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Kya Kya Dilon Ka KHauf Chhupana PaDa Hamein is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Kya Kya Dilon Ka KHauf Chhupana PaDa Hamein for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Kya Kya Dilon Ka KHauf Chhupana PaDa Hamein in PDF.