Mohabbat Mein Jafa Kya Hai Wafa Kya

mohabbat mein jafa kya hai wafa kya

wo ye puchhen to shikwon ka maza kya

qayamat se Daraati kyun hai duniya

qayamat se hai kam un ki ada kya

jahan tauhin-e-arz-o-iltija ho

wahan par arz kaisi iltija kya

baghawat aur phir in ki raza se

mohabbat mein dua kya muddaa kya

kisi dasht-o-bayaban ki ek aawaz

hamare saz-e-hasti ki sada kya

meri nazron se puchho husn apna

bata sakta hai tum se aaina kya

ba-juz ashkon ki bunden aur aahen

'jalil' aaKHir mohabbat se mila kya

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Mein Jafa Kya Hai Wafa Kya In English By Famous Poet Jaleel Fatehpuri. Mohabbat Mein Jafa Kya Hai Wafa Kya is written by Jaleel Fatehpuri. Read famous Poem Mohabbat Mein Jafa Kya Hai Wafa Kya for youth and Student by Jaleel Fatehpuri. Free Download Mohabbat Mein Jafa Kya Hai Wafa Kya in PDF.