Log Kyun Humse Shikayat Ki Tawaqqo Rakhen

log kyun hum se shikayat ki tawaqqo rakhen

hain KHud-azar bhi itne ki sitamgar roen

ab to aati hain kuchh is tarah tumhaari yaaden

dhup mein jaise kisi chehre se baadal guzren

matam-e-ghuncha mein roe hain nadamat hai bahut

shiddat-e-gham mein raha pas-e-tabassum na hamein

ab gham-e-dil ka safina hai ki dariya mange

aur ye rona hai ki aansu bhi nahin aankhon mein

hum se lipTi hui talwar ho jaise yaro

ek naya zaKHm sulagta hai jo karwaT badlen

tujh ko dekha jo na hota to KHuda kah lete

ye bhi mushkil nazar aata hai ki patthar pujen

wo karam hai tera sanson mein sunai dena

ye sitam hai ki tujhe DhunDh rahi hain aankhen

'hashami' jism nazar aata hai suli ki tarah

jab masiha ke liye pyar se bazu kholin

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Kyun Humse Shikayat Ki Tawaqqo Rakhen In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. Log Kyun Humse Shikayat Ki Tawaqqo Rakhen is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem Log Kyun Humse Shikayat Ki Tawaqqo Rakhen for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download Log Kyun Humse Shikayat Ki Tawaqqo Rakhen in PDF.