Main KHuda Bhi To Nahin Kyun Mujhe Tanha Likh De

main KHuda bhi to nahin kyun mujhe tanha likh de

ab mere nam ki suli pe masiha likh de

aise sannaTe se behtar hai shikaston ki sada

meri miTTi mein ek uDta hua patta likh de

de wo unwan ki zarurat na kahani ki paDe

baghban sabze pe KHakistar-e-ghuncha likh de

raat bhar tere ujalon ki qasam khaun main

tu sar-e-sham mari shama ka bujhna likh de

ho chuke KHushk meri aankh ke chashme kab ke

samne dasht hai ek abr ka TukDa likh de

phul ka zikr bhi karte hue Dar lagta hai

phir na tu meri zaban par kahin kanTa likh de

dagh us ek kali ka na miTega hargiz

meri jholi mein agar bagh bhi sara likh de

sans lete hue rakh uDti hai ab chehre par

na bujha aag magar sath hi chashma likh de

bewafai ki shikayat use kya logon se

jis ki rahon mein tu bachhDa hua pyara likh de

ab to is aas pe jite hain ki shayad 'hashami'

likhne wale ne jo ab tak nahin likkha likh de

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHuda Bhi To Nahin Kyun Mujhe Tanha Likh De In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. Main KHuda Bhi To Nahin Kyun Mujhe Tanha Likh De is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem Main KHuda Bhi To Nahin Kyun Mujhe Tanha Likh De for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download Main KHuda Bhi To Nahin Kyun Mujhe Tanha Likh De in PDF.