KHak Un Galiyon Ki Palkon Se Bahut Chhani Thi

KHak un galiyon ki palkon se bahut chhani thi

phir bhi surat meri is shahar mein an-jaani thi

hum bhi kuchh apni wafaon pe hue the nadim

un ko bhi tark-e-talluq pe pashemani thi

KHud-farebi to alag baat hai warna hum ne

apni surat kahan aaine mein pahchani thi

zindagi sang bani thi tujhe ruKHsat kar ke

dil na dhaDka tha to marne mein bhi aasani thi

hadisa saKHt tha jaankah tha ab ke yaro

warna hum ne to kabhi haar nahin mani thi

rah gai rah mein yun sharm-e-shikasta-pai

kya Thaharte kahin wo be-sar-o-samani thi

na-rasai koi kis aankh se dekhe apni

hum bhi TuTe hue par, raat bhi tufani thi

gul hui shama to daman bhaDak uTTha 'hashami'

jab nazar bujh gai virani hi virani thi

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Un Galiyon Ki Palkon Se Bahut Chhani Thi In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. KHak Un Galiyon Ki Palkon Se Bahut Chhani Thi is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem KHak Un Galiyon Ki Palkon Se Bahut Chhani Thi for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download KHak Un Galiyon Ki Palkon Se Bahut Chhani Thi in PDF.