Didar Ki Hawas Hai Na Shauq-e-visal Hai

didar ki hawas hai na shauq-e-visal hai

aazad har KHayal se mast-e-KHayal hai

kah do ye kohkan se ki marna nahin kamal

mar mar ke hijr-e-yar mein jina kamal hai

fatwa diya hai mufti-e-abr-e-bahaar ne

tauba ka KHun baada-kashon ko halal hai

aankhen bata rahi hain ki jage ho raat ko

in sagharon mein bu-e-sharab-e-visal hai

barsao tir mujh pe magar itna jaan lo

pahlu mein dil hai dil mein tumhaara KHayal hai

aankhen laDa ke un se hum aafat mein paD gae

palkon ki har zaban pe dil ka sawal hai

but kah diya jo main ne to ab bolte nahin

itni si baat ka tumhein itna KHayal hai

main daman-e-niyaz mein ashk-e-chakida hun

koi uTha ke dekh le uThna muhaal hai

puchha jo un se jaante ho tum 'jalil' ko

bole ki han wo shaer-e-nazuk-KHayal hai

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Didar Ki Hawas Hai Na Shauq-e-visal Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Didar Ki Hawas Hai Na Shauq-e-visal Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Didar Ki Hawas Hai Na Shauq-e-visal Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Didar Ki Hawas Hai Na Shauq-e-visal Hai in PDF.