Dil Gaya Dil-lagi Nahin Jati

dil gaya dil-lagi nahin jati

rote rote hansi nahin jati

aankhen saqi ki jab se dekhi hain

hum se do ghunT pi nahin jati

kabhi hum bhi taDap mein bijli the

ab to karwaT bhi li nahin jati

un ko sine se bhi laga dekha

hae dil ki lagi nahin jati

baat karte wo qatl karta hai

baat bhi jis se ki nahin jati

aap mein aae bhi to kya aae

lazzat-e-be-KHudi nahin jati

hain wahi mujh se kawishen dil ki

dost ki dushmani nahin jati

ho gae phul zaKHm-e-dil khil kar

nahin jati hansi nahin jati

(832) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Gaya Dil-lagi Nahin Jati In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Dil Gaya Dil-lagi Nahin Jati is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Dil Gaya Dil-lagi Nahin Jati for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Dil Gaya Dil-lagi Nahin Jati in PDF.