Dil Hai Apna Na Ab Jigar Apna

dil hai apna na ab jigar apna

kar gai kaam wo nazar apna

ab to donon ki ek haalat hai

dil sambhaalun ki main jigar apna

main hun go be-KHabar zamane se

dil hai pahlu mein ba-KHabar apna

dil mein aae the sair karne ko

rah paDe wo samajh ke ghar apna

tha baDa marka mohabbat ka

sar kiya main ne de ke sar apna

ashk-bari nahin ye dar-parda

haal kahti hai chashm-e-tar apna

kya asar tha nigah-e-saqi mein

nashsha utra na umr bhar apna

chaara-gar de mujhe dawa aisi

dard ho jae chaara-gar apna

waza-dari ki shan hai ye 'jalil'

rang badla na umr bhar apna

(616) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hai Apna Na Ab Jigar Apna In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Dil Hai Apna Na Ab Jigar Apna is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Dil Hai Apna Na Ab Jigar Apna for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Dil Hai Apna Na Ab Jigar Apna in PDF.