Dil Ke Sab Dagh Khile Hain Gul-e-KHandan Ho Kar

dil ke sab dagh khile hain gul-e-KHandan ho kar

rang laya hai ye ghuncha chamanistan ho kar

daman-e-tar hai ki daftar hai ye ruswai ka

meri aankhon ne Duboya mujhe giryan ho kar

nind aai jo kabhi zulf ke diwane ko

chaunk uTha KHwab-e-pareshan se pareshan ho kar

nigah-e-shauq to dar-parda KHabar leti hai

aap jaenge kahan aankh se pinhan ho kar

jalwa-gar aaina-KHane mein hua kaun hasin

naqsh-e-diwar hain sab aaine hairan ho kar

dil mein aae hain to ab dil se nikalte hi nahin

ghar pe qabza kiye baiThe hain wo mehman ho kar

shuhra-e-husn abhi kya hai shabab aane do

nam chamkega tumhaara mah-e-taban ho kar

qatl ke baad wafa meri jo yaad aai hai

sar jhukae hue baiThe hain pasheman ho kar

mast aankhon pe bikhar jati hai jab zulf 'jalil'

main samajhta hun ghaTa chhai hai mai-KHanon par

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Sab Dagh Khile Hain Gul-e-KHandan Ho Kar In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Dil Ke Sab Dagh Khile Hain Gul-e-KHandan Ho Kar is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Dil Ke Sab Dagh Khile Hain Gul-e-KHandan Ho Kar for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Dil Ke Sab Dagh Khile Hain Gul-e-KHandan Ho Kar in PDF.