Din Ki Aahen Na Gain Raat Ke Nale Na Gae

din ki aahen na gain raat ke nale na gae

mere dil-soz mere chahne wale na gae

apne mathe ki shikan tum se miTai na gai

apni taqdir ke bal hum se nikale na gae

tazkira soz-e-mohabbat ka kiya tha ek bar

ta-dam-e-marg zaban se meri chhaale na gae

shama-ru ho ke faqat tum ne jalana sikha

mere gham mein kabhi do ashk nikale na gae

aaj tak sath hain sarkar-e-junun ke tohfe

sar ka chakkar na gaya panw ke chhaale na gae

wo bhala pech nikalenge meri qismat ke

apne baalon ke to bal un se nikale na gae

koi shab aisi na guzri ki bana kar gesu

saikDon bal meri taqdir mein Dale na gae

ham-safar aise wafadar kahan milte hain

tere wahshi ke qadam chhoD ke chhaale na gae

apna diwan muraqqa hai hasinon ka 'jalil'

nukta-chin thak gae kuchh aib nikale na gae

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ki Aahen Na Gain Raat Ke Nale Na Gae In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Din Ki Aahen Na Gain Raat Ke Nale Na Gae is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Din Ki Aahen Na Gain Raat Ke Nale Na Gae for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Din Ki Aahen Na Gain Raat Ke Nale Na Gae in PDF.