Ek Din Bhi To Na Apni Raat Nurani Hui

ek din bhi to na apni raat nurani hui

hum ko kya ai mah-jabin gar chand-peshani hui

sard-mehri ka teri saqi natija ye hua

aag ke molon jo bikti thi wo mai pani hui

allah allah phuT nikla rang chahat ka meri

zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui

hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein

teri surat hai azal se jaani pahchani hui

le uDi ghungaT ke andar se nigah-e-mast hosh

aaj saqi ne pilai mai hamein chhani hui

jaan kar dushman jo lipTe jaan mein jaan aa gai

barak-allah kis maze ki tum se nadani hui

rafta rafta dida-e-tar ko Duboya ashk ne

pani riste riste kashti meri tufani hui

kar gai diwangi hum ko bari har jurm se

chaak-damani se apni pak-damani hui

KHun ki chadar mubarak ba-haya talwar ko

myan se bahar nikal kar bhi na uryani hui

raat ko chhup kar nikal jati hai aankhon se 'jalil'

sair dekho nind bhi kam-baKHt sailani hui

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Din Bhi To Na Apni Raat Nurani Hui In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ek Din Bhi To Na Apni Raat Nurani Hui is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ek Din Bhi To Na Apni Raat Nurani Hui for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ek Din Bhi To Na Apni Raat Nurani Hui in PDF.