Ismat Ka Hai Lihaz Na Parwa Haya Ki Hai

ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai

ye sin ghazab ka hai ye jawani bala ki hai

sach puchhiye to nala-e-bulbul hai be-KHata

phulon mein sari aag lagai saba ki hai

dil hai ajib gul chaman-e-rozgar mein

rangat to phul ki hai magar bu wafa ki hai

KHalwat mein kyun ye sath hain sab ko alag karo

shoKHi ka hai na kaam na hajat haya ki hai

wo hath un ke chumti hai main hun paemal

ye hain mere nasib wo qismat hina ki hai

anjam kya ho dagh-e-mohabbat ka dekhiye

sine mein ibtida se jalan intiha ki hai

mausam yahi to pine-pilane ka hai jalil

mai-KHwar bagh bagh hain aamad ghaTa ki hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ismat Ka Hai Lihaz Na Parwa Haya Ki Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ismat Ka Hai Lihaz Na Parwa Haya Ki Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ismat Ka Hai Lihaz Na Parwa Haya Ki Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ismat Ka Hai Lihaz Na Parwa Haya Ki Hai in PDF.