Kahun Kya Iztirab-e-dil Zaban Se

kahun kya iztirab-e-dil zaban se

rahe jate hain sab pahlu bayan se

unhen chahka raha hun chand kah kar

ewaz lena hai mujh ko aasman se

hum aise na-tawan wo aise nazuk

uThae kaun parda darmiyan se

shamim-e-gul ne baDh kar haal mara

qadam bahar jo rakkha aashiyan se

taDap meri taraqqi kar rahi hai

zamin Takra na jae aasman se

KHuda rakkhe chaman ka phul ho tum

hanso khelo nasim-e-bostan se

nigah-e-gul se bulbul yun giri hai

gire jis tarah tinka aashiyan se

zamin-e-sher hum karte hain aabaad

chale aate hain mazmun aasman se

baDa langar tha sher-o-shaeri ka

uTha kyun-kar 'jalil' na-tawan se

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahun Kya Iztirab-e-dil Zaban Se In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Kahun Kya Iztirab-e-dil Zaban Se is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Kahun Kya Iztirab-e-dil Zaban Se for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Kahun Kya Iztirab-e-dil Zaban Se in PDF.