Kho Ke Dil Mera Tumhein Na-haq Pashemani Hui

kho ke dil mera tumhein na-haq pashemani hui

tum se nadani hui ya mujh se nadani hui

allah allah phuT nikla rang chahat ka meri

zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui

hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein

teri surat hai azal se jaani-pahchani hui

ai saba main aur kya dun qabr-e-majnun ke liye

KHak thoDi si chaDha dena meri chhani hui

yar ke hathon hua jo kuchh hua ai tegh-e-naz

teri uryani hui ya meri qurbani hui

kar gai diwangi hum ko bari har jurm se

chaak-damani se apni chaak-damani hui

baDh di banki adaon ne jo KHanjar ko 'jalil'

zabh karne mein mere qatil ko aasani hui

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kho Ke Dil Mera Tumhein Na-haq Pashemani Hui In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Kho Ke Dil Mera Tumhein Na-haq Pashemani Hui is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Kho Ke Dil Mera Tumhein Na-haq Pashemani Hui for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Kho Ke Dil Mera Tumhein Na-haq Pashemani Hui in PDF.